Kaise Lagayein MACD Indicator?

1. Indicators button pe click karo.

2. Search bar me “MACD” likho aur select karo.

Indicator 3: EMA (Exponential Moving Average)

• Fast EMA (10) aur Slow EMA (50) ka crossover dekho.

• Jab Fast EMA upar ho: Long entry.

• Jab Fast EMA neeche ho: Short entry.

Kaise Lagayein EMA?

1. Chart pe Indicators open karo.

2. Search me “Moving Average Exponential” likho aur do baar select karo.

3. Ek EMA ka length 10 set karo aur doosre ka length 50.

Long/Short Scalping Strategy

Long Entry Steps (Buy):

1. RSI oversold (<30) ho aur upar bounce kar raha ho.

2. MACD bullish crossover kare.

3. EMA (10) > EMA (50) ho.

4. Chart pe green candles dikh rahi ho (price uptrend me ho).

Short Entry Steps (Sell):

1. RSI overbought (>70) ho aur neeche gir raha ho.

2. MACD bearish crossover kare.

3. EMA (10) < EMA (50) ho.

4. Chart pe red candles dikh rahi ho (price downtrend me ho).

Leverage, Liquidation, Aur Funding Rate Explained

1. Leverage Kya Hai?

• Exchange tumhare available funds ka multiple amount provide karta hai (e.g., 10x, 20x, 50x).

• Agar tumhara trade galat jaye, to tumhara initial fund liquidate hoga, lekin exchange tumse paisa waapas nahi maangta (credit card ka loan nahi hai).

2. Liquidation Kya Hai?

• Jab tumhara loss tumhare funds ke barabar ho jaye, to exchange tumhara position close kar deta hai.

3. Funding Rate Kya Hai (Sood Nahi Hai)?

• Funding rate ek adjustable mechanism hai jo long aur short traders ke beech paisa balance karta hai.

• Ye interest nahi hai, kyunki ye fixed nahi hota aur market dynamics ke mutabiq change hota hai.

• Logical Explanation (Quran Ke Mutabiq Haram Nahi):

• Fixed interest nahi hota.

• Profit aur loss sirf market ki movements ke basis pe hota hai.

Tips for Beginners:

1. Screener ke sath RSI aur MACD zaroor use karo.

2. Sirf liquid coins trade karo (BTC, ETH, BNB).

3. Leverage low rakho (5x ya 10x max).

4. Stop loss aur target profit set karna mat bhoolo.

next part in next article