LIQUIDATION IN TRADING đŸ‘‡â€Œïž

Liquidated ka matlab hai kay ek trader ki position ko exchange ya broker ne automatic close kar diya hai kyunkay trader ki margin (jo kay position ko maintain krnay kay liay zaroori hoti hai) ne ek certain level say neeche aa gayi hai, jo kay maintenance margin kehtay hain.

Yani kay, jab ek trader ki losses unki available margin say ziyada ho jati hain, to unki position close ho jati hai aur unke assets ko losses ko cover krnay kay liay becha jata hai. Ye traders kay account ko debt mein jana say bachanay kay liay kiya jata hai.

Liquidation kay zaroori wajuhat hain:

- Jab trader ki margin maintenance margin say neeche aa jaye

- Jab trader ki position loss mein ho aur market unke khilaf chale

- Jab trader margin requirements ko pora na kr paye

Liquidation traders kay liay boht zaroori hai, isliay zaroori hai kay woh risk management strategies ko samjhain aur unki positions ko maintain krnay kay liay zaroori cheezon ko pora karein.

$BTC $ETH $BNB

#DYOR #Write2Earn! #Beginnersguide #BeginnerTrader