USA ki policies per sari markets chalti hain. So NFP ka data 227,000 jobs ka aya hai, jo economy ka balance show kar raha hai. Matlab na bohot strong hai na weak, is liye Federal Reserve interest rate cut December 18 ko kar sakta hai. Agar wages barhein, toh inflation ka risk hai jo future mein interest rates par pressure daal sakta hai. Is data ka stock market ke liye acha impact hai, lekin gold ke liye negative ho sakta hai kyunke log risky assets prefer karenge. Crypto bhi stable data se faida utha sakta hai, jab tak inflation ya policy change ka dar na ho. Yeh data BLS ki website, Investing.com, ya CNBC par dekh sakte hain live updates ke liye.
Disclaimer: Includes third-party opinions. No financial advice. May include sponsored content.See T&Cs.