Bitcoin update
1. Bitcoin Upar Ja Raha Hai – Par Kab Buy Karna Hai?
Bitcoin nay abhi tak $106,000 ka new all-time high maar dia hai. Lekin agar aap entry soch rahay hain, toh sabar karen aur pullback ka wait karein. Ek safe aur achi entry point around $101,500 pe aa sakti hai. Ye price level uptrend line ke saath aligned hai, jo ek bullish sign hai.
2. Trend Line Kya Hai Aur Kyon Zaroori Hai?
Agar Bitcoin ka price trend line ke neeche girta hai, toh market weak lagti hai. Aise case mein, exit karna behtar hoga aur losses ka risk kam ho jata hai. Zyada greed ya emotional trading se bachain – market ka structure dekhen aur calm reh kar decision lein.
3. Stock Market Aur Bitcoin Ka Rishta
Bitcoin ek risk-on asset hai jo stock market ke saath closely linked hota hai. Agar stock market upar ja raha hai aur naye highs maar raha hai, toh chances hain Bitcoin bhi upar jayega. Agar stock market giray, toh Bitcoin mein bhi pressure aa sakta hai.
Summary for Traders:
• Buy Entry: $101,500 pe pullback ka wait karein.
• Exit Strategy: Agar trend line tootay aur price neeche giray, toh position exit karain.
• Stock Market Monitor: Bitcoin ki direction ke clues stock market se milte hain, toh usko bhi nazar mein rakhain.
Trading mein patience aur market ka samajh zaroori hai. Samjh kar aur strategy ke saath trade karein, taakay loss se bach sako aur profit ka chance barh jaye.