Bitcoin ki Supply: Limited hai, Lekin Kya 0 ho sakti hai?
Aap sabhi Bitcoin enthusiasts ke liye ek interesting baat! Kya aapko pata hai ki Bitcoin ki total supply sirf 21 million hai? Lekin kya ye 0 ho sakti hai?
Ek interesting fact: 21 million se zyada Bitcoin already disappear ho chuke hain! Kuch logon ke paas Bitcoin the, lekin unhein kho diya gaya hai. Ek aisa hi case hai jismein ek person ke paas 8000 Bitcoin the, jo pindrive me the. Lekin usne pindrive ko phenk diya tha!
Aaj bhi, USA ke koray dan me woh pindrive pari hui hai. Kuch log risk lekar us pindrive ko dhundhne ki koshish kar rahe hain. AI scanning ke zariye, unhein ummeed hai ki woh pindrive ko dhundh lenge.
Lekin yeh baat bhi sach hai ki 21 million me se 50% supply aisi hai jo pichhle 6-8 mahino me heli nahi hai. 30% supply aisi hai jo pichhle 10 saal se heli nahi hai! Toh, yeh anumaan lagaya ja sakta hai ki 20% supply already kho gayi hai.
Lekin, jo believers aur holders hain, woh abhi tak nahi bech rahe hain. Unhein ummeed hai ki 2025 me Bitcoin ki price up kar sakti hai. Toh, kya aap bhi Bitcoin me invest karne ke liye taiyaar hain?
#Bitcoin #Crypto2025Trends #ATASurgeAnalysis #CryptoETFMania #GMTBurnVote