BREAKING: 🇮🇳 Income Tax Appellate Tribunal (ITAT) ne decide kiya hai ki
#Bitcoin ek capital asset ke roop me qualify karta hai.
#Bitcoin #IndianCryptoTrends 1⃣ Case Background:
🔹 Raunaq Prakash Jain ne 2015-16 me ₹5.05 lakh ke Bitcoin kharide aur 2020-21 me ₹6.69 crore me bech diye.
🔹 Unhone apne profit ko long-term capital gains bataya aur ghar kharidne ke liye Section 54F ka deduction liya.
2⃣ Tax Authority ka Viewpoint:
🔹 Income Tax Officer ne Bitcoin ko capital asset nahi maana kyunki us time uska definition clear nahi tha.
🔹 Officer ne profit ko "Income from Other Sources" bataya aur long-term capital gains aur Section 54F ka benefit deny kar diya.
3⃣ Tribunal ka Faisla:
🔹 Tribunal ne taxpayer ke support me bola.
🔹 Unhone kaha ki Bitcoin ek capital asset hai, even agar 2022 ka law pehle nahi bhi tha.
🔹 Bitcoin sell karne ka profit long-term capital gains ke under aata hai kyunki:
⦿ Bitcoin ek property ke jaisa hai.
⦿ Usko 36 months se zyada hold kiya gaya tha, jo long-term gains ke liye qualify karta hai.
🔹 Section 54F ka deduction bhi valid hai.
4⃣ Iska Matlab Kya Hai:
🔹 2022 ke pehle crypto taxation unclear tha, par ab long-term holders ko fair treatment milega.
🔹 2022 se pehle ke profits ko ab "Other Income" ke bajay Capital Gains me tax kiya ja sakta hai.
🔹 Ye decision clear karta hai ki 2022 se pehle crypto ko kaise treat kiya jaye.